People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 7 *

Hariyala Banna Aaya Re
Music: Khayyam
Lyricist: Nida Fazli
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Razia-Sultan/Hariyala-Banna-Aaya-Re/HSUmYRVnB2Y
Video:
hariyala banna aaya re, hariyala banna aaya hai
hariyala banna aaya, hariyala banna aaya re
hariyala banna aaya hai, hariyala banna aaya re

choti gudhe ghata, paanv chume heena
mang moti bhari mathe jhumar saja
choti gudhe ghata, paanv chume heena
mang moti bhari mathe, jhumar saja
banni ke jo man bhaya re, hariyala banna aaya re
hariyala banna aaya, hariyala banna aaya re
hariyala banna aaya re, hariyala banna aaya

mil gayi rahate
jaag uthi kismate
chhod kar aasma aa gayi jannate
mil gayi rahate
jaag uthi kismate
chhod kar aasma aa gayi jannate
huro ne shagun gaaya re
hariyala banna aaya re, hariyala banna aaya

devtao ke man hai khushi se magan
pi se milne chali saj ke razia dulhan
devtao ke man hai khushi se magan
pi se milne chali saj ke razia dulhan
khushiyo ke chaman laaya re
hariyala banna aaya re, hariyala banna aaya
hariyala banna aaya re, hariyala banna aaya re
hariyala banna aaya
Khwab Ban Kar Koi Aayega
Music: Khayyam
Lyricist: Jan Nisar Akhtar
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Razia-Sultan/Khwab-Bankar-Koi-Aayega/GQQsXhoHfAs
Video:
chum kar rat jo sulayegi
chum kar rat jo sulayegi to nind ayegi
khwab ban kar koyi aayega
khwab ban kar koyi aayega to nind ayegi
abb vahi aake sulayega
abb vahi aake sulayega to nind ayegi
khwab ban kar koyi aayega

bat jo sirf nigaho se kahi jati hai
bat jo sirf nigaho se kahi jati hai
koyi hontho se sunayega
koyi hontho se sunayega to nind ayegi
khwab ban kar koyi aayega

narm julfo ki mahak garm badan ki khushabu
narm julfo ki mahak garm badan ki khushabu
chupake chupake
chupake chupake woh churayega to nind ayegi
khwab ban kar koyi aayega

jism hatho ki hararat se pighal jayega
jism hatho ki hararat se pighal jayega
aag rag rag me lagayega
aag rag rag me lagayega to nind ayegi
khwab ban kar koyi aayega
Aaye Zanjeer Ki Jhankar
Singer: Kabban Mirza
Music: Khayyam
Lyricist: Jan Nisar Akhtar
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Razia-Sultan/Aayee-Zanjeer-Ki-Jhankar/IgEKAllWRVs
Video:
khuda khair kare
aayi zanjir ki jhankaar khuda khair kare
dil hua kiska giraftaar khuda khair kare
aayi zanjir ki jhankaar

jaane yah kaun meri ruh ko chhukar guzra
jaane yah kaun
jaane yah kaun meri ruh ko chhukar guzra
ek qayaamat hui bedaar
ek qayaamat hui bedaar khuda khair kare
lamha lamha meri aankho me khichi jaati hai
lamha lamha meri aankho me khichi jaati hai
ek chamakati hui talwaar khuda khair kare
dil hua kiska giraftaar khuda khair kare
aayi zanjir ki jhankaar
Aye Khuda Shukr Tera
Music: Khayyam
Lyricist: Kaif Bhopali
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Razia-Sultan/Aye-Khuda-Shukr-Tera/AQMmSRtDREE
Video:
aye khuda shukra tera
aye khuda shukra tera, shukra tera, shukra tera
ye mera yaar chala baandhkar sar par sehra
aye khuda shukra tera
aye khuda shukra tera, shukra tera, shukra tera
ye mera yaar chala baandhkar sar par sehra

aaisa sehra gul-e-guljaar na dekha na suna
aaisa naushaah mere yaar na dekha na suna
aaisa bemiz haseen pyar na dekha na suna
aaisa dildaar taraja na dekha na suna
saari duniya ki
saari duniya ki zubaanon pe hai ghar ghar sehra
ye mera yaar chala baandhkar sar par sehra
aye khuda shukra tera
aye khuda shukra tera, shukra tera, shukra tera
ye mera yaar chala baandhkar sar par sehra

taang kar laye gye chaand sitaaren isme
aur gunje gye jannat ke nazaren isme
chun diye phool gulistaan ke saare isme
phool kya dil bhi biroye gaye hai hamare isme
jane kin haatho se
jane kin haatho se aaya hai bankar ye sehra
ye mera yaar chala baandhkar sar par sehra
aye khuda shukra tera
aye khuda shukra tera, shukra tera, shukra tera
ye mera yaar chala baandhkar sar par sehra

gulkho ki najar aati hai aadaye isme
hai mehakti hui zulfon ki ghataye isme
hai sabhi dard ki maaro ki dawaye isme
saare dilwalo ki shaamil hai duwaye isme
baat toh ye hai
baat toh ye hai ke dilbar ka hai dilbar sehra
ye mera yaar chala baandhkar sar par sehra
aye khuda shukra tera
aye khuda shukra tera, shukra tera, shukra tera
ye mera yaar chala baandhkar sar par sehra

waah kya baat hai kya shaan hai subha nalla
iske har phul me ek jaan hai subha nalla
har nazar dekh ke hairaan hai subha nalla
jisne dekha wahi qurbaan hai subha nalla
wakaiya ye hai
wakaiya ye hai ke betar hai betar sehra
ye mera yaar chala baandhkar sar par sehra
aye khuda shukra tera
aye khuda shukra tera, shukra tera, shukra tera
ye mera yaar chala baandhkar sar par sehra
Jalta Hai Badan
Music: Khayyam
Lyricist: Kaifi Azmi
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Razia-Sultan/Jalta-Hai-Badan/FR0ueAdgZWA
Video:
jalta hai badan, jalta hai badan
jalta hai badan, jalta hai badan
ho hay jalta hai badan
pyaas bhadki hai
pyaas bhadki hai sare shaam se jalta hai badan
pyaas bhadki hai sare shaam se jalta hai badan
ishq se kah do ki le aaye kahi se saavan
pyaas bhadki hai sare shaam se jalta hai badan
jalta hai badan, jalta hai badan

jaane kab raat dhale, subah tak kaun jale
daur par daur chale, aao lag jaao gale
aao lag jaao gale kam ho sine ki jalan
pyaas bhadki hai sare shaam se jalta hai badan
jalta hai badan, jalta hai badan
jalta hai badan, o aah jalta hai badan

dekh jal jaayege ham, is tabassum ki kasam
ab nikal jaayega dam, tere baaho me sanam
dil pe rakh haath ki tham jaaye dil ki dhadkan
pyaas bhadki hai sare shaam se jalta hai badan
jalta hai badan
ishq se kah do ke le aaye kahi se saavan
pyaas bhadki hai sare shaam se jalta hai badan
jalta hai badan, jalta hai badan
o haay jalta hai badan, jalta hai badan
Tera Hijr Mera Naseeb Hai
Singer: Kabban Mirza
Music: Khayyam
Lyricist: Nida Fazli
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Razia-Sultan/Tera-Hijr-Mera-Naseeb-Hai/HRIdAEZ3QGA
Video:
tera hijar mera nasib hai
tera hijar mera nasib hai
tera gam
tera gam hi meri hayaat hai
mujhe teri duri ka gam ho kyu
mujhe teri duri ka gam ho kyu
tu kahin bhi ho mere sath hai
tu kahin bhi ho mere sath hai
tera hijar mera nasib hai

mere vaaste tere naam par
mere vaaste tere naam par
koi harf aaye nahi nahi
mujhe khauf duniya nahi
mujhe khauf duniya nahi
magar mere rubaru teri zaat hai
mere rubaru teri zaat hai
tera hijar mera nasib hai

tera vasl ae meri dilruba
tera vasl ae meri dilruba
nahi meri kismat to kya hua
meri mahjabi, meri mahjabi
meri mahjabi yahi kam hai kya
teri hasrato ka to sath hai
teri hasrato ka to sath hai
tera hijar mera nasib hai
Aye Dil-E-Nadaan
Music: Khayyam
Lyricist: Jan Nisar Akhtar
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Razia-Sultan/Aye-Dil-E-Nadan/KDkFSSMdAEo
Video:
ai dil-e-nadaan, ai dil-e-nadaan
aarzoo kya hai, justju kya hai
ai dil-e-nadaan, ai dil-e-nadaan
aarzoo kya hai, justju kya hai
ai dil-e-nadaan

ham bhatakte hai, kyo bhatakte hai, dashto-sehra me
aisa lagta hai, mauj pyasi hai, apne dariya me
kaisi uljhan hai, kyo ye uljhan hai
ek saya sa, ru-bru kya hai
ai dil-e-nadaan, ai dil-e-nadaan
aarzoo kya hai, justju kya hai

kya qayamat hai, kya musibat hai
kah nahi sakte, kiska armaan hai
zindagi jaise, khoyi khoyi hai, haira haira hai
ye zamin chup hai, aasmaan chup hai
phir ye dhadkan si, char su kya hai
ai dil-e-nadaan, ai dil-e-nadaan